Maharana Pratap Ji Ka Janm 9 May, 1540 Ko Hua Tha
Unki mata ji ka naam Jaywanta Bai tha aur unke pita ji ka naam Maharana Uday Singh tha. Maharana Pratap ka janm Mewar ke Kumbhalgarh mein hua tha.
Jab Maharana Pratap ji ka janm hua, tab Mughlo ka Bharat par raaj tha. Akbar ka koharam tha. Akbar poore Rajasthan ko Mughlo ka gulaam banana chahta tha. Woh Hindu ladkiyon se vivaah karke Hinduo ko mansik roop se gulaam bana raha tha, aur Maharana Pratap swadhinta, swaraj aur stri ka samman chahte the. Is uddeshya ke liye Maharana Pratap ne apne tan, man, aur dhan ka Maa Bharati ke liye balidaan kiya.
Unke dada ji ka naam Rana Sanga (Maharana Sangram Singh) tha, jo ki atyant veer the. Unhone Bharat Mata ki raksha ke liye apna ek haath, ek laat aur ek aankh gawaai. Unke shareer par 80 ghav the. Babar ne inke najdeek waalon se raj (secrets) lekar inke saath ladaai jeeti. Yeh Maharana Pratap ke dada ji the, jinhe Akbar kabhi jeet nahi saka.
Unki dadi ka naam Karunawati tha, jinhone sankalp liya tha ki woh bhi Maa Bharati ki raksha apne pati Rana Sanga ki tarah karegi. Unki kokh se Uday ka janm hua, jo aage chal kar Maharana Pratap bane.
Uday ki raksha ke liye Panna Dhai ne apne putra ka balidaan diya. Yeh balidaan Maa Bharati ka balidaan tha.
Ab Humayun ki maut ho chuki thi, aur uske bete Akbar ki nazar Mewar, jo Rajasthan mein hai, ke raj ko gulaam banane par thi. Akbar apni sena lekar aaya, par kabhi bhi Maharana Pratap ke hote hue jeet nahi saka.
Vijeta hamesha Maharana Pratap ji hi rahe.
Aayiye sune Bharat ke mahaan, tyaagi, tapasvi, aur sahasi deshbhakt ki jeevani.
Bhasha: Hindi
Format : Audio
Lekhak: Krantikari Azaad
Prakashak: Krantikari
Prakashan Tithi: 19-01-2025


No comments:
Post a Comment
Write a Review & Help Others Make Better Decisions